सोमवार, 23 सितंबर 2013

Aakhir en chehroN se nakaab hataauN to hataauN kaeseN ?


Jaane kyou wo hameN dekh ke nazareN churaa leteN haiN
Lekin maiN khud se nazareN churaauN to churaauN kaeseN ?

Sotaa huN to khawab uska, jaaguN to khayaal uska 
Apne es dil-a-naadaaN ko samjhaauN to samjhaauN kaeseN ?

Sare bazaar badnaam kr diya, mujhe mere chahne waale ne
A khudaa, ab tu hi bataa, uski mahfil meiN aauN to aauN kaeseN ?

ZakhmooN se chhalni sinaa leke tadptaa phir rahaa huN maiN
PathroN ke butoN ko apne zakhm dikhaauN to dikhaauN kaeseN ?

Mere apno ne hi booye haiN meri raahoN meiN kaaNteN
Ab un be-parvaa apno ke pass jaauN to jaauN kaeseN ?

Kabhi apne to kabhi begaane yuN hi tukraateN rahe mujhe
Matlbi jahaaN ko, apne dard ki daastaaN sunaauN to sunaauN kaeseN ?

A “Raj” hr koi chehre pe nakaab leke phir rahaa hai
Aakhir en chehroN se nakaab hataauN to hataauN kaeseN ?